Ticker

6/recent/ticker-posts

Etisalat important code 2021 / Etisalat codes list 2021

Etisalat ussd codes list / how to check active services in etisalat prepaid : 

Dosto agar aap united arab emirates ke andar rah rahe hai aur aap etisalat ka prepaid simcard use krte hai. To aaj mai apko kuch important code batane wala hu. Jiski help se agar apko mobile number nahi pata hai to aap apna number jaan sakte ho or mobile ka balance kaise check krte hai, simcard ki expiry kaise check krte hai, last 10 transaction ki information ki detail jaan sakte hai, apke number par koi third party service activate ho gayi hai to aap usko check kar sakte hai and ek code ke help se usko direct deactivate kar sakte ho... 


Apna mobile number kaise jaane / how to check etisalat number on phone :

To sabse pahle me apko batane wala hu ki aap ana mobile number kaise jaan sakte hai. Iske liye apko sabse pahle apne dialpad me jana hai . phir apko *101*1*3*3# dial krna hai. Dial krne ke baad apka number apki screen par ajayega.


Last 10 transaction ki detail kaise jaane / How to know last 10 transaction detail :

Dosto agar apka etisalat me balance cut ja raha hai aur aap uski detail janna chah rahe hi ki apka balance kaha kaha kata hai . To apko apne dialpad me jakar apko *101*1*6*4# dial krna hoga . Dial krne ke baad apko etisalat ki trf se ek messsage recieve hoga .Us message me apko last 10 transaction ki detail mil jayegi ki apka balance kis wajah se kata hua hai.

Agar apko last 10 transaction se jada detail chahiye to aap 800101 par call kar sakte hai. agar apko customer care ko call krna nahi pata hai to aap mere youtube channel par jakar video dekh sakte ho ki kaise customer care ko call kaise connect krte ho.


Etisalat me apka balance cut ho raha hai / How can stop third party service in etisalat :

Dosto agar apka balace kisi third party ki wajahs e cut ho raha hai to aap pahle to last 10 transaction ki detai check kare . agar apka balance kisi third party ki wajah se cut ho raha hai to apko apne dial pad me jakar *101*1*7# dial krna hoga. dial krne ke baad apki third party shoe hogi aur aap usko yahi se deactivate kar sakte hai. Agar apko koi confusion hai to aap mere youtube channel pe video hai aap waha jakar dekh sakte ho.


Etisalat sim ki expiry kaise check kare / how can i know etisalat sim expiry :

Dosto agar aap ek etisalat ka prepaid simcard use krte hai aur aap simcard ki expiry date check krna chahte hai to aapko apne dialpad me jakar *101*1*3*2# code dial krna hai . Dial krne ke baad apki sim ki expiry date ajayegi. 


Etisalat request a call back / : Dosto kabhi kabhi apka balance khatam ho jata hai. Aur apke paas kisi ki call krne ke liye balance nahi rahta hai.To aap apne kisi dost ya relative ko balance bhejne ke liye request kar sakte hai. Yah request karne ke liye aapko apne dialpad me jana hai aur type krna hai *101*7*6*2*your mobile number# . Ye dial krne ke baad apke friend or relative ke number par call back ki request chali jayegi.Aur wah message dekhte hi apko credit or call back kar dega.


Etisalat local credit transfer / local balance kaise transfer kar sakte hai : Dosto agar aap united arab emirates ke andar hai aur aap apne kisi local friend ko credit bhejna chahte hai to aap apne mobile se dusre mobile par asani se send kar sakte hai. Iske liye aapko apne dial pad me jana hai aur type krna hai *100*your mobile number*amount# . Dial krne ke baad apka balance transfer ho jayega . aap minimum 5 AED transfer kar sakte hai. 


Etisalat international credit tarnsfer / mulk balance kaise bheje : Dosto agar aap apne mulk balance transfer krna chahte ho to aap ek message send krke apne mulk balalnce transfer kar sakte ho.Iske liye sabse pahle aapko write message me jakar waha par apne mulk ka number type krna hoga phir us message ko 1700 par bhejna hoga. Uske baad apko etisalat ki trf se screen par ek message aayega. usme amount ka detail hoga ki aapko kitna amout bhejna hai . apko amount select krna hai then usko send kar dena hai. Send krne ke baad apka amount apnr mulk ke number par send ho jayega. 

Dosto agar apko kuch aur codes ki detail janna hai to aap mujhe comment krke puch sakte hai.Dosto agar ye information apko acchi lagi ho to aap is websites ke option ko activate kar sakte hai. Thank you

Post a Comment

0 Comments